منگل، 6 اگست، 2013

tere khayal se lo de uthi hai tanhayi

تیرے خیال سے لو دے اُٹھی ہے تنہائی
شبِ فراق ہے یا تیری جلوہ آرائی

تُو کس خیال میں ہے منزلوں کے شیدائی
انہیں بھی دیکھ جنہیں راستے میں نیند آئی

پکار اے جرسِ کاروانِ صبح طرب
بھٹک رہے ہیں اندھیروں میں تیرے سودائی

ٹھہر گئے ہیں سرِراہ خاک اڑانے کو
مسافروں کو نہ چھیڑ اے ہوائے صحرائی

رہِ حیات میں کچھ مرحلے تو دیکھ لیے
یہ اور بات تری آرزو نہ راس آئی

یہ سانحہ بھی محبت میں بارہا گزرا
کہ اس نے حال بھی پوچھا تو آنکھ بھر آئی

دل افسردہ میں پھر دھڑکنوں کا شور اٹھا
یہ بیٹھے بیٹھے مجھے کن دنوں کی یاد آئی

کھلی جو آنکھ تو کچھ اور ہی سماں دیکھا
وہ لوگ تھے نہ وہ جلسے نہ شہر رعنائی

پھر اس کی یاد میں دل بے قرار ہے ناصر
بچھڑ کے جس سے ہوئی شہر شہر رسوائی ــــــــــــ
!!!!!
 
 

tere khayal se lo de uthi hai tanhayi
shab firaaq hai ya teri jalwah aarayi

tu kis khayal mein hai manzilon ke shedayi
unhein bhi dekh jinhein raaste mein neend aayi

pukaar aye jars-e-karwaan-e-subah tarb
bhatak rahe hain andheron mein tere sodayi

thehar gaye hain sar-e-raah khaak uraane ko
musaafiron ko na cher aye hawaye sehrayi

rah hayaat mein kuch marhale to dekh lein
ye aur baat teri aarzoo na raas aayi

ye saneha bhi mohabbat mein baraha guzra
ke us ne haal bhi poocha to aankh bhar aayi

dil fasardah mein phir dharkanon ka shor utha
ye bethe bethe mujhe kin dinon ki yaad aayi

main sote sote kayi baar chonk chonk pari
tamam raat tere pehluon se aanch aayi

jahan bhi tha koi fitna tarap ke jaag utha
tamam hosh thi masti mein teri angraayi

khuli jo aankh to kuch aur hi saman dekha
woh log the na woh jalse na sehar renaayi

woh taab dard woh sodaaye intezaar kahan
unhi ke saath gayi taaqat ke shakeebayi

phir us ki yaad mein dil beqarar hai Nasir
bichar ke jis hui shehar shehar ruswayi

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...